Maldives duniya ki sabse khubsurat jagaho mai se ek hai jaha selani uski sundarta ke wajha se jate hain agar aap ghumne firne ke shokeen hain to aapne Maldives ko tasvero ya videos mai zaroor dekha hoga. aaj hum aapko batate hain Maldives ki khubsurati ke baare mai yadi aap in dwip ki yatra ki yojna bna rahe hain to aapke liye behtar hoga kuch mehatavpurn bato ka janna. is lekh mai hum un chizo ki baat karenge jo aap chahte honge 



Maldives ke beaches ka pani ekdam saaf or nile rang ka hai jo apko bahut hi achcha ahsas deta hai isi karan duniya bhar se lakho selani Maldives aate hain niche kuch Maldives facts or Maldives tips di hain jo aapke zarur kaam ayengi

1 Kya aapko pta hai Maldives ek hazar se bhi zada dwipo se bna hai inmese zadatar dwip nizi resorts hain

2 Maldives mai zadatar islam dharm ko follow karne wale log rehte hain. jis karan aap bade shehro mai sharab kharid nahi sakte aap kuch resorts mai jake waha sharab kharid sakte hain

3 Maldives mai bahut hi sundar beaches hain jaha paryatan suryasth ke baad beach pr party ayijit karte hain aise mai aap zarur chahenge ke aap bhi unka hissa bane agar aapko apne kharche ki fikar nahi to aap bhi unke saath party ka mja le sakte hain pr kuch private party bhi hoti hain jisme aapko shayad hi entry mile

4 Anubhavi paryatak aapko zarur suggest karenge ke aap Island Hopping ka istemal iska matlab simple sa hai agar aap Maldives pr chuthtiyan bitane gaye hain to ek island pr naa ruke Maldives pr to itne island hain ke har din 3 island pr bhi ruke to 1 saal se zada ka waqt lag jayega isliye behtar ye hi hai ke zada se zada island explore karen

5 Maldives ki chokane wali baaat ye bhi hai ki aap Maldives ke island mai whale sharks ke saath ter sakte hain pr ye khatre se khali nahi hai aise risk na lena ek samjhdari hoti hai
waha jane ka sabse achcha waqt june se september ka hota hai jaha aap Manta Rays ka anad bhi le sakte hain 

7 Maldives ki ek or achchi baat ye hai ki Maldives ka mausam pure saalbhar lagbhag ek saman hi rehta hai. barsat ke mausam mai bhi jab bharish hoti hai to wo zada der nahi rehti. jis din barish hoti hai usi din aap dhoop ka bhi anand le sakte hain 

7 Maldives mai yatra ka peak season December se April ke beech hota hai agar aap budget nirdharit karke jate hain or apka budget kam ho to aapko is doran Maldives nahi jana chahiye is doran aapko khane se leke hotel ke bhi rate high milenge har chiz aapko mehngi milegi to behtar yahi hai ke peak season mai na jaye 

8 Agar aap pehle kabhi Maldives nahi gaye hain to behatar hai ke aap kisi guide ki sewaye le jo aapka waqt bachane mai aapki madad karega or behtarin se behtrin jagha aapko batayega agar aapko ek achcha guide mil jata hai to wo aapke paise bachane mai bhi madad kar sakta hai 

Ye thi kuch Maldives facts jo aapko janne chahiye the ab hum kuch aisi baato ki baat karenge jo aksar Maldives pr pehli baar jane wale galtiyan karte hai hamara sujhav yahi hai ke aap aisi galtiyan bilkul naa kare to jante hain wo konsi galtiyan hai jo Maldies pr pehli baaar jane wale karte hain 




1 Sirf Ek Hi Dwip Pr Zada Samay Bitana


Jab aap Maldives jaye to ek baat apne dhyan mai hamesha rakhe ke Maldives ek nahi balki hazaro dwipo ka ghar hai aap alag alag dwip pr jake alag alag ahsas alag alag yaade le sakte hain ek hi dwip pr thaharne ki galti naa karen balki alag alag dwip pr jaye waha aapko naye naye beach explore karne ka mauka milega

2 Ye Bilkul Soch Kar Naa Jaye Ke Maldives Kewal Amiro Ke Liye Hi Hai 


Logo ka manna hai ke Maldive pahuchna hi kaafi mehnga hai lekin aisa nahi hai agar aap India se jate hain to ye aapke liye behad hi sasta rahega Maldives indian ocean mai hone ke karan India se kaafi karib hai jis karan aap asani se Maldives jaa sakte hain. agar aap Delhi se Maldives ke liye flight book karte hain to aapko 8000 se 12000 ke beach ticket mil jayegi jo kafi kifayati hai 


3 Maldives Jane Ke Liye Apni Shadi Ka Intezar Karna


Agar aap Maldives jana chahate hain to zaruri nahi ke honeymoon ke liye hi jaye waise Maldives romantic sunset overwater bungalow ke liye mashoor hai yahi karan hai duniya bhar se lakho log honeymoon manane ke liye Maldives aate hain. halaki aap iss khubsurat yatra pr apne pariwar ke sath bhi ja sakte hain maldives mai bahot se island family ke liye bhi design kiye gaye hain. aap apne pariwar ke sath bhi waha enjoy kar sakte hain 


4 Sthaniya Sanskriti Ko Andekha Naa Karen


Maldives ek mahan samundri tat hai or isme kai desho ki jhalak hai Maldives ki Sanskriti African Indonesian, middle eastern, Malaysian, Sri Lanka or Indian se milke bani hai jo aapko bahot prabhavit karegi aap duniya ke in desho ke mishrit Sanskriti ka Anand le sakte hain. isliye jab aap Maldives mai waqt bitaye to waha ki Sanskriti ko zarur jaane ye apki yatra ka ek yadgar pal ban jayega 

Ye the kuch Maldives facts or Maldives tips ummeed hai aapko zarur pasand aaye honge